Badr-e-Alam Khalish

chup the jo but sawal ba-lab bolne lage

Badr-e-Alam Khalish

Darbhanga, Bihar, India

1962
chup the jo but savāl ba-lab bolne lage
Thahro ki qaus-e-barq-o-lahab bolne lage
vīrāniyoñ meñ sāz-e-tarab bolne lage
jaise lahū meñ āb-e-inab bolne lage
ik rishta ehtiyāj kā sau ruup meñ milā
so ham bhī ab ba-tarz-e-talab bolne lage
ḳhāmosh be-gunāhī akelī khaḌī rahī
kuchh bolne se pahle hī sab bolne lage
pahle tum is mobile ko be-rābta karo
kam-zarf hai na jaane ye kab bolne
sar pīTtā hai nātiqa hairāñ hai āgahī
purze machine ke bhī adab bolne lage
barham the ḳhvāb niiñd kī retīlī os par
us par sitam ki tā.er-e-shab bolne lage
hai vaqt yā shu.ūr ye guzrā hai jo abhī
tum bhī 'ḳhalish' zabān ajab bolne lage
Top Urdushayar.com