nishān-e-zaḳhm  pe  nishtar-zanī  jo  hone  lagī
lahū  meñ  zulmat-e-shab  uñgliyāñ  bhigone  lagī
huā  vo  jashn  ki  neze  buland  hone  lage
niyām  teġh  kī  ḳhanjar  ke  saath  sone  lagī
jahāñ  meñ  dauḌ  ke  pahuñchā  thā  vo  ghanerī  chhāñv
zarā  sī  der  meñ  zār-o-qatār  rone  lagī
nadī  Dubā.ū  na  thī  Dūbnā  paḌā  lekin
kināre  pahuñchā  to  sharmindagī  Dubone  lagī
sab  apnī  pyaas  bujhāne  meñ  mahv  the  hama-tan
huā  ye  phir  ki  havā  sho.ala-ḳhez  hone  lagī
baḌhā.e  haath  madad  ko  darāz  dastoñ  ne
to  apnā  bojh  vo  chyūñTī  kī  tarah  Dhone  lagī
kuchh  aur  surḳh-rū  ho  kar  uThe  vo  maqtal  se
ghaTā  bhī  uTThī  to  dāman  ke  daaġh  dhone  lagī
vo  pīr-zan  jise  kāñTe  nikālne  the  'ḳhalish'
vo  sāhira  kī  tarah  sūiyāñ  chubhone  lagī