zehn  meñ  aur  koī  Dar  nahīñ  rahne  detā
shor  andar  kā  hameñ  ghar  nahīñ  rahne  detā
koī  ḳhuddār  bachā  le  to  bachā  le  varna
peT  kāñdhoñ  pe  koī  sar  nahīñ  rahne  detā
āsmāñ  bhī  vo  dikhātā  hai  parindoñ  ko  na.e
haañ  magar  un  pe  koī  par  nahīñ  rahne  detā
ḳhushk  āñkhoñ  meñ  utar  aatā  hai  bādal  ban  kar
dard  ehsās  ko  banjar  nahīñ  rahne  detā
ek  poras  bhī  to  rahtā  hai  hamāre  andar
jo  sikandar  ko  sikandar  nahīñ  rahne  detā
un  meñ  ik  ret  ke  dariyā  sā  Thahar  jaatā  hai
ḳhauf  āñkhoñ  meñ  samundar  nahīñ  rahne  detā
hādsoñ  kā  hai  dhuñdlakā  sā  'dvij'  āñkhoñ  meñ
ḳhūb-sūrat  koī  manzar  nahīñ  rahne  detā