ye  kaun  chhoḌ  gayā  us  pe  ḳhāmiyāñ  apnī
mujhe  dikhātā  hai  ā.īna  jhurriyāñ  apnī
banā  ke  chhāp  lo  tum  un  ko  surḳhiyāñ  apnī
kueñ  meñ  pheñk  dī  ham  ne  to  nekiyāñ  apnī
badalte  vaqt  ki  raftār  thāmte  haiñ  huzūr
badalte  rahte  haiñ  aksar  jo  Topiyāñ  apnī
qatāreñ  dekh  ke  lambī  hazāroñ  logoñ  kī
maiñ  phaaḌ  detā  huuñ  aksar  sab  arziyāñ  apnī
nahīñ  lihāf  ġhilāfoñ  kī  kaun  baat  kare
tū  dekh  phir  bhī  guzartī  haiñ  sardiyāñ  apnī
zalīl  hotā  hai  kab  vo  use  hisāb  nahīñ
abhī  to  gin  rahā  hai  vo  dihāḌiyāñ  apnī
yuuñ  baat  kartā  hai  vo  pur-tapāk  lahje  meñ
magar  chhupā  nahīñ  paatā  vo  talḳhiyāñ  apnī
bhale  dinoñ  meñ  kabhī  ye  bhī  kaam  aa.egā
abhī  sambhāl  ke  rakh  lo  udāsiyāñ  apnī
hameñ  hī  āñkhoñ  se  un  ko  sunānā  aatā  nahīñ
sunā  hī  dete  haiñ  chehre  kahāniyāñ  apnī
mire  liye  mirī  ġhazleñ  haiñ  canvas  kī  tarah
ukerata  huuñ  maiñ  jin  par  udāsiyāñ  apnī
tamām  falsafe  ḳhud  meñ  chhupā.e  rahtī  haiñ
kahīñ  haiñ  dhuup  kahīñ  chhāñv  vādiyāñ  apnī
abhī  jo  dhuñd  meñ  lipTī  dikhā.ī  detī  haiñ
kabhī  to  dhuup  nahā.eñgī  bastiyāñ  apnī
buland  hausloñ  ki  ik  misāl  haiñ  ye  bhī
pahāḌ  roz  dikhāte  haiñ  choTiyāñ  apnī
bhulā  rahī  hai  tujhe  dhuup  'dvij'  pahāḌoñ  kī
tū  kholtā  hī  nahīñ  phir  bhī  khiḌkiyāñ  apnī