Dwijendra Dwij

jitna dikhta hun mujhe us se ziyaada na samajh

Dwijendra Dwij

jitnā dikhtā huuñ mujhe us se ziyāda na samajh

is zamīñ huuñ mujhe koī farishta na samajh

ye tirī aañkh ke dhoke ke sivā kuchh bhī nahīñ

ek bahte hue dariyā ko kinārā na samajh

chhoḌ jā.egā tirā saath añdhere meñ yahī

ye jo saaya hai tirā is ko bhī apnā na samajh

jin kitāboñ ne añdheroñ ke sivā kuchh na diyā

un kitāboñ ke ujāloñ ko ujālā na samajh

ye jo biphrā to Dubo.egā safīne kitne

ise aañkh se Tapkā huā qatra na samajh

vo tujhe bāñTne aayā hai ka.ī TukḌoñ meñ

muskurāte hue shaitāñ ko masīhā na samajh

tujh se maañg rahā hai vo to ḳhud apnā vajūd

ḳhud jo saa.il hai use koī ḳhalīfa na samajh

hai tire saath agar tere irādoñ junūn

qāfila hai kabhī ḳhud ko akelā na samajh

saath haiñ mere buzurgoñ duā.eñ itnī

maiñ huuñ mahfil mujhe pal ko bhī tanhā na samajh

Top Urdushayar.com