talāsh-e-kaun-o-makāñ  hai  na  lā-makāñ  kī  talāsh
ye  zindagī  hai  ġham-e-ishq-e-jāvedāñ  kī  talāsh
isī  zamīñ  ko  hameñ  āsmāñ  banānā  hai
hameñ  nahīñ  hai  kisī  aur  āsmāñ  kī  talāsh
kisī  ko  manzil-e-ishrat  kā  ġham  hai  aur  mujhe
huī  hai  manzil-e-ishrat  pe  kārvāñ  kī  talāsh
ye  ḳhvāb  hai  ki  hai  tābīr-e-ḳhvāb  ai  ġham-e-dil
har  ik  qadam  hai  yahāñ  umr-e-rā.egāñ  kī  talāsh
bahār-e-lāla-o-gul  barq-e-be-amāñ  niklī
kahāñ  kahāñ  na  rahī  mere  āshiyāñ  kī  talāsh
jo  ho  sake  to  mirā  ġham  hī  jāvedāñ  ho  jaa.e
'jamāl'  mujh  ko  nahīñ  aish-e-jāvedāñ  kī  talāsh