yūñhī  chupke  chupke  ronā  yūñhī  dil  hī  dil  meñ  bāteñ
baḌī  kashmakash  ke  din  haiñ  baḌī  uljhanoñ  kī  rāteñ
hai  nafas  nafas  farozāñ  hai  mizha  mizha  charāġhāñ
baḌī  dhuum  se  uThī  haiñ  ġham-o-dard  kī  barāteñ
mire  zehn  kī  ḳhalā  meñ  mire  dil  kī  vus.atoñ  meñ
kahīñ  rañg-o-bū  ke  ḳheme  kahīñ  nuur  kī  qanāteñ
unheñ  ai  ġham-e-zamāna  kabhī  rā.egāñ  na  karnā
haiñ  bahut  latīf-o-nāzuk  ġham-e-dil  kī  vārdāteñ
ye  'jamāl'  mai-kada  hai  nahīñ  yaañ  koī  takalluf
o  arab  ajam  ke  jhagḌe  na  hasab  nasab  na  zāteñ