saaqī  bhī  mai-e-gulfām  bhī  hai  rindoñ  ko  salā-e-ām  bhī  hai
gardish  meñ  chhalaktā  jaam  bhī  hai  bahkeñ  to  magar  ilzām  bhī  hai
sab  kuchh  maiñ  luTā  detā  lekin  kyā  kahiye  ki  un  kī  nazroñ  meñ
hushyārī  kī  talqīn  bhī  hai  sar-mastī  kā  paiġhām  bhī  hai
tanvīr-e-numūd-e-sub.h  bhī  hai  aariz  ke  damakte  jalvoñ  meñ
zulfoñ  ke  machalte  saa.e  meñ  tasvīr-e-savād-e-shām  bhī  hai
ai  dil  ye  junūñ  kī  manzil  hai  kuchh  sūd-o-ziyāñ  kī  fikr  na  kar
har  gaam  pe  yaañ  rahrav  ke  liye  āġhāz  bhī  hai  anjām  bhī  hai
ab  dair-o-haram  kī  shorish  ko  ai  vā.iz-e-nādān  bhuul  bhī  jā
ye  bazm  ki  bazm-e-rindāñ  hai  yaañ  kufr  bhī  hai  islām  bhī  hai
shohrat  bhī  milī  izzat  bhī  milī  lekin  ye  'jamāl'-e-naġhma-sarā
dil-gīr  bhī  hai  barbād  bhī  hai  nāshād  bhī  hai  nākām  bhī  hai