Ahmad Nadeem Qasmi

tu jo badla to zamana bhi badal jaega

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
tū jo badlā to zamāna bhī badal jā.egā
ghar jo sulgā to bharā shahr bhī jal jā.egā
sāmne aa ki mirā ishq hai mantiq meñ asiir
aag bhaḌkī to ye patthar bhī pighal jā.egā
dil ko maiñ muntazir-e-abr-e-karam kyuuñ rakkhūñ
phuul hai qatra-e-shabnam se bahal jā.egā
mausam-e-gul agar is haal meñ aayā bhī to kyā
ḳhūn-e-gul chehra-e-gulzār pe mal jā.egā
vaqt ke paañv kī zanjīr hai raftār-e-'nadīm'
ham jo Thahre to ufuq duur nikal jā.egā
Top Urdushayar.com