Ahmad Nadeem Qasmi

tu jo badla to zamana bhi badal jaega

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006

jo badlā to zamāna bhī badal jā.egā

ghar jo sulgā to bharā shahr bhī jal jā.egā

sāmne aa ki mirā ishq hai mantiq meñ asiir

aag bhaḌkī to ye patthar bhī pighal jā.egā

dil ko maiñ muntazir-e-abr-e-karam kyuuñ rakkhūñ

phuul hai qatra-e-shabnam se bahal jā.egā

mausam-e-gul agar is haal meñ aayā bhī to kyā

ḳhūn-e-gul chehra-e-gulzār pe mal jā.egā

vaqt ke paañv zanjīr hai raftār-e-'nadīm'

ham jo Thahre to ufuq duur nikal jā.egā

Top Urdushayar.com