Ahmad Nadeem Qasmi

qarar-e-jaan bhi tumhi iztirab-e-jaan bhi tumhi

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
qarār-e-jāñ bhī tumhī iztirāb-e-jāñ bhī tumhī
mirā yaqīñ bhī tumhī ho mirā gumāñ bhī tumhī
tumhārī jaan hai nik.hat tumhārā jism bahār
mirī ġhazal bhī tumhī merī dāstāñ bhī tumhī
ye kyā tilism hai dariyā meñ ban ke aks-e-qamar
ruke hue bhī tumhī ho ravāñ-davāñ bhī tumhī
ḳhudā kā shukr mirā rāsta muayyan hai
ki kārvāñ bhī tumhī mīr-e-kārvāñ bhī tumhī
tumhī ho jis se milī mujh ko shān-e-istiġhnā
ki merā ġham bhī tumhī ġham ke rāz-dāñ bhī tumhī
nihāñ ho zehn meñ vijdān kā dhuāñ ban kar
ufuq pe manzil-e-idrāk kā nishāñ bhī tumhī
tamām husn-e-amal hoñ tamām husn-e-bayāñ
ki merā dil bhī tumhī ho mirī zabāñ bhī tumhī
Top Urdushayar.com