Ahmad Nadeem Qasmi

yun be-kar na baiTho din bhar yun paiham aansu na bahao

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
yuuñ be-kār na baiTho din bhar yuuñ paiham aañsū na bahāo
itnā yaad karo ki bil-āḳhir āsānī se bhuul bhī jaao
saare raaz samjho lo lekin ḳhud kyuuñ un ko lab par laao
dhokā dene vaalā ro de aisī shaan se dhokā khaao
zulmat se mānūs haiñ āñkheñ chāñd ubhrā to muñd jā.eñgī
bāloñ ko uljhā rahne do ik uljhāv sau suljhāv
kal ko kal par rakkho jab kal aa.egā dekhā jā.egā
aaj kī raat bahut bhārī hai aaj kī raat yahīñ rah jaao
kab tak yuuñ parde meñ husn mohabbat ko Thukrātā
maut kā din bhī hashr kā din hai chhupne vaalo sāmne aao
Top Urdushayar.com