terī mahfil bhī mudāvā nahīñ tanhā.ī kā
kitnā charchā thā tirī anjuman-ārā.ī kā
dāġh-e-dil naqsh hai ik lāla-e-sahrā.ī kā
ye asāsa hai mirī bādiya-paimā.ī kā
jab bhī dekhā hai tujhe ālam-e-nau dekhā hai
marhala tai na huā terī shanāsā.ī kā
vo tire jism kī qauseñ hoñ ki mehrāb-e-haram
har haqīqat meñ milā ḳham tirī añgḌā.ī kā
ufuq-e-zehn pe chamkā tirā paimān-e-visāl
chāñd niklā hai mire ālam-e-tanhā.ī kā
bharī duniyā meñ faqat mujh se nigāheñ na churā
ishq par bas na chalegā tirī dānā.ī kā
har na.ī bazm tirī yaad kā māhaul banī
maiñ ne ye rañg bhī dekhā tirī yaktā.ī kā
naala aatā hai jo lab par to ġhazal bantā hai
mere fan par bhī hai partav tirī ra.anā.ī kā