Ahmad Nadeem Qasmi

fasle ke mani ka kyun fareb khate ho

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
fāsle ke ma.anī kā kyuuñ fareb khāte ho
jitne duur jaate ho utne paas aate ho
raat TuuT paḌtī hai jab sukūt-e-zindāñ par
tum mire ḳhayāloñ meñ chhup ke gungunāte ho
merī ḳhalvat-e-ġham ke āhanī darīchoñ par
apnī muskurāhaT kī mish.aleñ jalāte ho
jab tanī salāḳhoñ se jhāñktī hai tanhā.ī
dil kī tarah pahlū se lag ke baiTh jaate ho
tum mire irādoñ ke Dolte sitāroñ ko
yaas ke ḳhalāoñ meñ rāsta dikhāte ho
kitne yaad aate ho pūchhte ho kyuuñ mujh se
jitnā yaad karte ho utne yaad aate ho
Top Urdushayar.com