Ahmad Nadeem Qasmi

tu bigaDta bhi hai KHas apne hi andaz ke sath

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
tū bigaḌtā bhī hai ḳhaas apne hī andāz ke saath
phuul khilte haiñ tire sho.ala-e-āvāz ke saath
ek baar aur bhī kyuuñ arz-e-tamannā na karūñ
ki tū inkār bhī kartā hai ajab naaz ke saath
lai jo TuuTī to sadā aa.ī shikast-e-dil kī
rag-e-jāñ kā koī rishta hai rag-e-sāz ke saath
tū pukāre to chamak uThtī haiñ merī āñkheñ
terī sūrat bhī hai shāmil tirī āvāz ke saath
jab tak arzāñ hai zamāne meñ kabūtar kā lahū
zulm hai rabt rakhūñ gar kisī shahbāz ke saath
past itnī to na thī merī shikast ai yaaro
par sameTe haiñ magar hasrat parvāz ke saath
pahre baiThe haiñ qafas par ki hai sayyād ko vahm
par-shikastoñ ko bhī ik rabt hai parvāz ke saath
umr bhar sañg-zanī karte rahe ahl-e-vatan
ye alag baat ki dafnā.eñge e.azāz ke saath
Top Urdushayar.com