jab  bhī  āñkhoñ  meñ  tirī  ruḳhsat  kā  manzar  aa  gayā
āftāb-e-vaqt  neze  ke  barābar  aa  gayā
dostī  kī  jab  duhā.ī  dī  to  sharq-o-ġharb  se
haath  meñ  patthar  liye  yāroñ  kā  lashkar  aa  gayā
is  safar  meñ  go  tamāzat  to  bahut  thī  hijr  kī
maiñ  tirī  yādoñ  kī  chhāñv  sar  pe  le  kar  aa  gayā
go  zamīn-o-āsmāñ  masrūf-e-gardish  haiñ  magar
jab  bhī  gardish  kā  sabab  sochā  to  chakkar  aa  gayā
aadmī  ko  hashr  ke  manzar  nazar  aane  lage
us  ke  qabze  meñ  jab  ik  zarre  kā  jauhar  aa  gayā
husn-e-insāñ  dafn  ho  jaane  se  miTtā  hai  kahāñ
phuul  ban  kar  ḳhaak  ke  parde  se  bāhar  aa  gayā
ashk  jab  Tapke  kisī  bekas  kī  āñkhoñ  se  'nadīm'
yuuñ  lagā  tūfān  kī  zad  meñ  samundar  aa  gayā