Ahmad Nadeem Qasmi

jab tera hukm mila tark mohabbat kar di

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
jab tirā hukm milā tark mohabbat kar dī
dil magar is pe vo dhaḌkā ki qayāmat kar dī
tujh se kis tarah maiñ iz.hār-e-tamannā kartā
lafz sūjhā to muānī ne baġhāvat kar dī
maiñ to samjhā thā ki lauT aate haiñ jaane vaale
tū ne jā kar to judā.ī mirī qismat kar dī
tujh ko puujā hai ki asnām-parastī kī hai
maiñ ne vahdat ke mafāhīm kī kasrat kar dī
mujh ko dushman ke irādoñ pe bhī pyaar aatā hai
tirī ulfat ne mohabbat mirī aadat kar dī
pūchh baiThā huuñ maiñ tujh se tire kūche kā pata
tere hālāt ne kaisī tirī sūrat kar dī
kyā tirā jism tire husn kī hiddat meñ jalā
raakh kis ne tirī sone kī sī rañgat kar dī
Top Urdushayar.com