Ahmad Nadeem Qasmi

tang aa jate hain dariya jo kuhistanon mein

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
tañg aa jaate haiñ dariyā jo kuhistānoñ meñ
saañs lene ko nikal jaate haiñ maidānoñ meñ
ḳhair ho dasht-e-navardān-e-mohabbat kī ab
shahr baste chale jaate haiñ bayābānoñ meñ
ab to le letā hai bātin se yahī kaam junūñ
nazar aate nahīñ ab chaak garebānoñ meñ
maal chorī kā jo taqsīm kiyā choroñ ne
nisf to baT gayā bastī ke nigahbānoñ meñ
kaun tārīḳh ke is sidq ko jhuTlā.egā
ḳhair-o-shar donoñ muqayyad rahe zindānoñ meñ
justujū kā koī anjām to zāhir ho 'nadīm'
ik musalmāñ to nazar aa.e musalmānoñ meñ
Top Urdushayar.com