Ahmad Nadeem Qasmi

tujhe kho kar bhi tujhe paun jahan tak dekhun

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
tujhe kho kar bhī tujhe pā.ūñ jahāñ tak dekhūñ
husn-e-yazdāñ se tujhe husn-e-butāñ tak dekhūñ
tū ne yuuñ dekhā hai jaise kabhī dekhā hī na thā
maiñ to dil meñ tire qadmoñ ke nishāñ tak dekhūñ
sirf is shauq meñ pūchhī haiñ hazāroñ bāteñ
maiñ tirā husn tire husn-e-bayāñ tak dekhūñ
mere vīrāna-e-jāñ meñ tirī yādoñ ke tufail
phuul khilte nazar aate haiñ jahāñ tak dekhūñ
vaqt ne zehn meñ dhuñdlā diye tere ḳhad-o-ḳhāl
yuuñ to maiñ TūTte tāroñ kā dhuāñ tak dekhūñ
dil gayā thā to ye āñkheñ bhī koī le jaatā
maiñ faqat ek hī tasvīr kahāñ tak dekhūñ
ik haqīqat sahī firdaus meñ hūroñ kā vajūd
husn-e-insāñ se nimaT luuñ to vahāñ tak dekhūñ
Top Urdushayar.com