Sabir Shah Sabir

zehn mein kuchh qayas rahta hai

Sabir Shah Sabir

1971
zehn meñ kuchh qayās rahtā hai
nisf ḳhālī gilās rahtā hai
har taraf rañg-o-nūr hai phir bhī
shahr kyuuñ kar udaas rahtā hai
muflisī meñ bhī haath phailā.eñ
kuchh to izzat kā paas rahtā hai
amn kā qatl ho gayā jab se
shahr ab bad-havās rahtā hai
tez raftār zindagānī meñ
hādisa ās-pās rahtā hai
daur patthar kā phir se lauT aayā
ab jahāñ be-libās rahtā hai
ham faqīroñ kā tarz hai 'sābir'
tan pe saada libās rahtā hai
Top Urdushayar.com