ye  jab  se  raat  buzdil  ho  ga.ī  hai
diye  kī  jañg  mushkil  ho  ga.ī  hai
charāġhoñ  ko  zarā  sā  hausla  do
havā  kuchh  aur  qātil  ho  ga.ī  hai
mujhe  yuuñ  chhoḌ  kar  jaatī  kahāñ  par
udāsī  ḳhuuñ  meñ  shāmil  ho  ga.ī  hai
kahāñ  mumkin  hai  us  ko  DhūñDhnā  ab
nadī  sahrā  meñ  dāḳhil  ho  ga.ī  hai
use  lazzat  nahīñ  ma.alūm  ġham  kī
use  har  chiiz  hāsil  ho  ga.ī  hai
tamannā  naañv  ban  kar  bah  rahī  hai
mohabbat  ek  sāhil  ho  ga.ī  hai
dikhā.e  haiñ  tamāshe  zindagī  ne
magar  jiine  ke  qābil  ho  ga.ī  hai