zaḳhm  koī  phuul  jaisā  khil  gayā  to  kyā  kahūñ
haath  titlī  kā  agar  phir  chhil  gayā  to  kyā  kahūñ
shaḳhs  koī  yaad  aatā  hai  mujhe  ik  umr  se
sochtā  huuñ  gar  kabhī  vo  mil  gayā  to  kyā  kahūñ
der  se  Thahrā  huā  thā  taash  ke  mīnār  sā
ek  pattā  phir  achānak  hil  gayā  to  kyā  kahūñ
baat  dil  kī  aaj  us  se  bolne  kā  dil  kiyā
chup  rahā  ye  soch  kar  ḳhud  dil  gayā  to  kyā  kahūñ
haañ  shikāyat  thī  mujhe  par  kuchh  nahīñ  maiñ  ne  kahā
hoñT  koī  jab  nazar  se  sil  gayā  to  kyā  kahūñ