Hira Nand Soz

koi monis nahin mera koi gham-KHwar nahin

Hira Nand Soz

Mianwali, Punjab, Pakistan

1922
koī monis nahīñ merā koī ġham-ḳhvār nahīñ
kyā maiñ itnī sī muravvat kā bhī haqdār nahīñ
mere hī dam se jinheñ azmat-e-kirdār milī
vahī kahte haiñ ki maiñ sāhab-e-kirdār nahīñ
ehtimām-e-rasan-o-dār hai ab kis ke liye
maiñ ḳhatāvār nahīñ aap ḳhatāvār nahīñ
munsif-e-shahr ko de kaun savāloñ ke javāb
ab kisī shaḳhs meñ bhī jur.at-e-guftār nahīñ
silsila ūñche makānoñ kā hai tā-hadd-e-nazar
shahr meñ phir bhī kahīñ sāya-e-dīvār nahīñ
qāfile vaale kahāñ pā.eñge manzil kā nishāñ
jazba-e-shauq nahīñ garmī-e-raftār nahīñ
kyā faqat daad hai shā.ir kī riyāzat kā sila
'soz' kyā mashq-e-suḳhan kāvish-e-bekār nahīñ
Top Urdushayar.com