tirī  chashm-e-tarab  ko  dekhnā  paḌtā  hai  pur-nam  bhī
mohabbat  ḳhanda-e-be-bāk  bhī  hai  girya-e-ġham  bhī
thakan  tere  badan  kī  uzr  koī  DhūñDh  hī  letī
hadīs-e-mahfil-e-shab  kah  rahī  hai  zulf  barham  bhī
ba-qadr-e-dil  yahāñ  se  shola-e-jāñ-sāz  miltā  hai
charāġh-e-husn  kī  lau  shoḳh  bhī  hai  aur  maddham  bhī
mirī  tanhā.iyoñ  kī  dil-kashī  terī  balā  jaane
merī  tanhā.iyoñ  se  pyaar  kartā  hai  tirā  ġham  bhī
bahāroñ  ke  ġhazal-ḳhvāñ  aaj  ye  mahsūs  karte  haiñ
pas-e-dīvār-e-gul  rotī  rahī  hai  chashm-e-shabnam  bhī
qarīb  aate  magar  kuchh  fāsla  bhī  darmiyāñ  rahtā
kamī  ye  rah  ga.ī  hai  bāvajūd-e-rabt-e-bāham  bhī
'zahīr'  un  ko  hamāre  dil  kī  har  shoḳhī  gavārā  thī
unheñ  karnā  paḌegā  ab  hamāre  dil  kā  mātam  bhī