niim  pāgal  to  maiñ  huuñ  tum  mujhe  saarā  kar  do
aañkh  biphrā  huā  dariyā  hai  kinārā  kar  do
ik  za.īfa  hai  ghanā  dasht  hai  ik  jhoñpaḌī  hai
ek  beTe  hī  ko  buḌhiyā  kā  sahārā  kar  do
koī  tabdīlī  na  aa.e  agar  atvār  meñ  to
saare  bachchoñ  ko  nasīhat  hī  dobāra  kar  do
chāñd  har  haal  meñ  sargoshī  karegā  tujh  se
chhat  se  tum  us  ko  agar  ek  ishāra  kar  do
maiñ  ne  tāvīz-e-mohabbat  bhī  liye  dam  bhī  kiyā
kaash  koī  to  mirī  aañkh  kā  taarā  kar  do
maiñ  ne  bhī  tāj-mahal  ek  banā  rakkhā  hai
aa  ke  ik  baar  'sahar'  aap  nazāra  kar  do