Zaheer Kashmiri

ab hai kya lakh badal chashm-e-gurezan ki tarah

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
ab hai kyā laakh badal chashm-e-gurezāñ kī tarah
maiñ huuñ zinda tire TuuTe hue paimāñ kī tarah
koī dastak koī aahaT na shanāsā āvāz
ḳhaak uḌtī hai dar-e-dil pe bayābāñ kī tarah
tū mirī zaat mirī ruuh mirā husn-e-kalām
dekh ab to na badal gardish-e-daurāñ kī tarah
maiñ ne jab ġhaur se dekhā to vo patthar niklā
varna vo husn nazar aatā thā insāñ kī tarah
ab maiñ kis naaz pe kah duuñ ki use kar le qubūl
dil to sad-chāk hai muflis ke garebāñ kī tarah
abhī kuchh kār-e-mohabbat hai mujhe duniyā meñ
zindagī ḳhatm na ho sohbat-e-yārāñ kī tarah
maiñ tirī bazm se niklā thā nazar kī kī sūrat
ab na yuuñ dekh mujhe dīda-e-hairāñ kī tarah
barq ban kar mire ḳhirman ko jalāne vaale
tū hī barsā thā kabhī abr-e-bahārāñ kī tarah
Top Urdushayar.com