ab  hai  kyā  laakh  badal  chashm-e-gurezāñ  kī  tarah
maiñ  huuñ  zinda  tire  TuuTe  hue  paimāñ  kī  tarah
koī  dastak  koī  aahaT  na  shanāsā  āvāz
ḳhaak  uḌtī  hai  dar-e-dil  pe  bayābāñ  kī  tarah
tū  mirī  zaat  mirī  ruuh  mirā  husn-e-kalām
dekh  ab  to  na  badal  gardish-e-daurāñ  kī  tarah
maiñ  ne  jab  ġhaur  se  dekhā  to  vo  patthar  niklā
varna  vo  husn  nazar  aatā  thā  insāñ  kī  tarah
ab  maiñ  kis  naaz  pe  kah  duuñ  ki  use  kar  le  qubūl
dil  to  sad-chāk  hai  muflis  ke  garebāñ  kī  tarah
abhī  kuchh  kār-e-mohabbat  hai  mujhe  duniyā  meñ
zindagī  ḳhatm  na  ho  sohbat-e-yārāñ  kī  tarah
maiñ  tirī  bazm  se  niklā  thā  nazar  kī  kī  sūrat
ab  na  yuuñ  dekh  mujhe  dīda-e-hairāñ  kī  tarah
barq  ban  kar  mire  ḳhirman  ko  jalāne  vaale
tū  hī  barsā  thā  kabhī  abr-e-bahārāñ  kī  tarah