ham  to  karbal  ko  hī  bas  dār-e-baqā  kahte  haiñ
us  kī  miTTī  ko  suno  ḳhāk-e-shifā  kahte  haiñ
ye  to  bas  mujh  se  hī  ho  jaatī  hai  ġhaflat  aksar
jo  bhī  kahte  haiñ  baḌe  mere  bajā  kahte  haiñ
pheñkī  lakḌī  to  kabhī  rasta  kabhī  saañp  banā
us  ko  lakḌī  nahīñ  muusā  kā  asā  kahte  haiñ
maiñ  sazā  lafz  kī  tārīf  batātā  huuñ  suno
muntazir  hone  ko  bhī  jaan  sazā  kahte  haiñ
bhuuk  marte  hue  bachchoñ  ko  jo  khānā  lā  de
us  masīhā  ko  hī  farzand-e-ḳhudā  kahte  haiñ
kitne  saada  haiñ  makīñ  yaar  tirī  bastī  ke
zahr  ke  jaam  ko  bhī  āb-e-baqā  kahte  haiñ
shams  tabrez  se  apnī  hai  aqīdat  itnī
ham  qalandar  ko  tabhī  shams-numā  kahte  haiñ
jo  tirī  yaad  meñ  har  raat  bapā  hotī  hai
aisī  mahfil  ko  'sahar'  bazm-e-azā  kahte  haiñ