ahl-e-dil  milte  nahīñ  ahl-e-nazar  milte  nahīñ
zulmat-e-daurāñ  meñ  ḳhurshīd-e-sahr  milte  nahīñ
manziloñ  kī  justujū  kā  tazkira  be-sūd  hai
DhūñDne  niklo  to  ab  apne  hī  ghar  milte  nahīñ
aadmī  TukḌoñ  kī  sūrat  meñ  huā  hai  muntashir
vahdat-e-fikr-o-nazar  vaale  bashar  milte  nahīñ
rāste  raushan  haiñ  āsār-e-safar  ma.adūm  haiñ
bastiyāñ  maujūd  haiñ  dīvār-o-dar  milte  nahīñ
zauq-e-nazzāra  diloñ  meñ  dafn  ho  kar  rah  gayā
aañkh  vāloñ  meñ  bhī  ab  ahl-e-nazar  milte  nahīñ
baḌh  ga.e  haiñ  is  qadar  qalb  o  nazar  ke  fāsle
saath  ho  kar  ham-safar  se  ham-safar  milte  nahīñ
zehn  kī  chaTyal  zamīñ  se  aañch  aatī  hai  'zahīr'
ab  yahāñ  ehsās  ke  rañgīñ  shajar  milte  nahīñ