farz  barsoñ  kī  ibādat  kā  adā  ho  jaise
but  ko  yuuñ  puuj  rahe  haiñ  ki  ḳhudā  ho  jaise
ek  pur-pech  ġhinā  ek  harīrī  naġhma
haa.e  vo  husn  ki  jañgal  kī  sadā  ho  jaise
ishq  yuuñ  vādi-e-hijrāñ  meñ  huā  mahv-e-ḳhirām
ḳhārzāroñ  meñ  koī  ābla-pā  ho  jaise
ārizoñ  par  vo  tire  tābish-e-paimān-e-vafā
chāñdnī  raat  ke  chehre  pe  hayā  ho  jaise
is  tarah  daaġh  damakte  haiñ  dil-e-vahshī  par
qais  ke  jism  pe  phūloñ  kī  abā  ho  jaise
kitnā  dilkash  hai  tirī  yaad  kā  paalā  huā  ashk
sīna-e-ḳhāk  pe  mahtāb  girā  ho  jaise
ratjage  vo  bhī  nashāt-e-ġham-e-mahbūb  ke  saath
husn  vāloñ  ne  baḌā  kaam  kiyā  ho  jaise
hijr  kī  raat  ajab  rañg  hai  paimāne  kā
dast  mai-ḳhvār  meñ  bujhtā  sā  diyā  ho  jaise
ḳhāk-e-dil  par  tire  sayyāl  tasavvur  kā  ḳhirām
reg-e-sahrā  pe  ravāñ  bād-e-sabā  ho  jaise
aaj  us  shoḳh  kī  chitvan  kā  ye  aalam  hai  'zahīr'
husn  apnī  hī  adāoñ  se  ḳhafā  ho  jaise