muntazir  āñkheñ  haiñ  merī  shaam  se
sham.a  raushan  hai  tumhāre  naam  se
chhīn  letā  hai  sukūñ  shohrat  kā  shauq
is  liye  ham  rah  ga.e  gumnām  se
sach  kī  ḳhātir  jaan  jaatī  hai  to  jaa.e
ham  nahīñ  Darte  kisī  anjām  se
apne  man  kī  baat  ab  kis  se  kahūñ
aa.ina  nārāz  hai  kal  shaam  se
kyā  ajab  duniyā  hai  ye  duniyā  yahāñ
log  milte  haiñ  magar  bas  kaam  se
aisā  kuchh  ho  jaa.e  dil  TuuTe  nahīñ
sochiyegā  aap  bhī  ārām  se
mujh  se  pūchho  āñsuoñ  kī  barkateñ
mutma.in  huuñ  ranj-o-ġham  ālām  se