vafā  karte  use  dekhā  nahīñ  hai
magar  vo  bevafā  lagtā  nahīñ  hai
dil-e-barbād  tujh  ko  kyā  huā  hai
sarā.e  meñ  koī  bastā  nahīñ  hai
use  patthar  banā  detī  hai  duniyā
jo  dariyā  hai  magar  bahtā  nahīñ  hai
ye  duniyā  phir  numāyāñ  ho  rahī  hai
añdherā  umr  bhar  rahtā  nahīñ  hai
mirā  hamdard  hai  ā.īna  'nāzim'
maiñ  rotā  huuñ  to  ye  hañstā  nahīñ  hai