har  ek  shai  se  mohabbat  kī  rishta-dārī  rakh
ab  is  ko  jañg  samajh  aur  jañg  jaarī  rakh
na  jaane  kis  ko  vo  apnā  samajh  ke  apnā  leñ
nazar  ko  dil  ko  tamannā  ko  baarī  baarī  rakh
agar  tumhārī  hai  tanhā  to  is  ko  le  jaao
agar  hai  sājhī  ye  duniyā  to  sājhedārī  rakh
na  samjheñ  apnā  magar  ġhair  to  na  samjheñ  log
ab  apne  aap  meñ  itnī  to  inkisārī  rakh
yahī  se  ḳhvāb  janam  leñge  phir  na.e  'nāzim'
lipaT  ke  niiñd  se  āñkhoñ  ke  paañv  bhārī  rakh