marnā  azaab  thā  kabhī  jiinā  azaab  thā
merā  mushīr  ishq  sā  ḳhāna-ḳharāb  thā
dil  mar  miTā  tilāvat-e-ruḳhsār-e-yār  meñ
marhūm  tiflagī  se  hī  ahl-e-kitāb  thā
sochā  to  is  habīb  ko  paayā  qarīb-e-jāñ
dekhā  to  āstīñ  meñ  chhupā  āftāb  thā
vo  bārgāh  merī  vafā  kā  javāz  thī
is  āstāñ  kī  ḳhaak  mirā  hī  shabāb  thā
merī  har  ek  sub.h  thī  āġhosh-e-dilbarī
merī  har  ek  shaam  kā  unvāñ  sharāb  thā
dil  bhī  sanam-parast  nazar  bhī  sanam-parast
is  āshiqī  meñ  ḳhāna  hama  āftāb  thā
kab  is  siyāh-baḳht  ne  chhoḌā  kisī  kā  saath
dasht-e-junūñ  meñ  saaya  mirā  ham-rikāb  thā
tū  kab  ma.āl-e-jaur-o-jafā  ko  samajh  sakā
terā  jamāl  tere  liye  bhī  hijāb  thā
jis  daur  ko  faqīh  ne  isyāñ  samajh  liyā
us  daur  meñ  to  pī  ke  bahaknā  savāb  thā
vo  husn  kis  qadar  adab-āmoz  thā  'zahīr'
qad  ḳhāma-e-ravāñ  thā  to  chehra  kitāb  thā