tum  se  chhuT  kar  zindagī  kā  naqsh-e-pā  miltā  nahīñ
phir  rahā  huuñ  kū-ba-kū  apnā  patā  miltā  nahīñ
maiñ  huuñ  yā  phirtā  hai  koī  aur  mere  bhes  meñ
kis  se  pūchhūñ  koī  sūrat-āshnā  miltā  nahīñ
naqsh-e-hairat  hī  na  thā  pursān-e-hāl-e-ġham  bhī  thā
tum  ne  jo  toḌā  hai  ab  vo  ā.īnā  miltā  nahīñ
nā-umīdī  harf-e-tohmat  hī  sahī  kyā  kījiye
tum  qarīb  aate  nahīñ  ho  aur  ḳhudā  miltā  nahīñ
us  ke  dil  se  apnā  andāz-e-taġhāful  pūchhiye
jis  ke  dil  ko  dard  kā  bhī  aasrā  miltā  nahīñ
ik  na  ik  rishta  isī  duniyā  se  thā  apnā  kabhī
sochtā  huuñ  aur  koī  silsila  miltā  nahīñ
koī  saa.e  kī  tarah  chaltā  hai  'aḳhtar'  saath  saath
dostdār-e-dil  hai  lekin  barmalā  miltā  nahīñ