ishq  ke  TuuTe  hue  rishtoñ  kā  mātam  kyā  kareñ
zindagī  aa  tujh  se  phir  ik  baar  samjhautā  kareñ
zindagī  kab  tak  tire  darmāndgān-e-ārzū
ḳhvāb  dekheñ  aur  ta.abīroñ  ko  sharminda  kareñ
muḌ  ke  dekhā  aur  patthar  ke  hue  is  shahr  meñ
ḳhud  sadā  ban  jaao  āvāzeñ  agar  pīchhā  kareñ
nā-umīdāna  bhī  jiine  kā  salīqa  hai  hameñ
aa.ine  TuuTe  hue  dil  meñ  sajā  kar  kyā  kareñ
chand  zarre  dil  ke  raqsāñ  haiñ  fazāoñ  meñ  abhī
laao  in  zarroñ  meñ  hashr-e-ārzū  barpā  kareñ
ḳhūñ-chakāñ  āñkhoñ  se  apnī  ḳhush  nahīñ  ham  bhī  magar
chaak  dāman  ho  to  sī  leñ  chāk-e-dil  ko  kyā  kareñ
bujh  ga.e  ek  ek  kar  ke  sab  aqīdoñ  ke  charāġh
ai  zamāne  kī  havā  ab  ye  batā  ham  kyā  kareñ
āfiyat  dushman  thā  dil-nā-āqebat-andesh  ham
ab  kise  ilzām  deñ  'aḳhtar'  kise  rusvā  kareñ