nairañgī-e-nashāt-e-tamannā  ajiib  hai
kuchh  shaam  se  qafas  meñ  ujālā  ajiib  hai
sharmā  rahe  haiñ  tār-e-garebān-e-chāk-e-dil
kuchh  din  se  rañg-e-lāla-e-sahrā  ajiib  hai
har  ḳhvāb-e-e'tibār  shikastoñ  se  chuur  hai
dil  meñ  magar  ġhurūr-e-tamannā  ajiib  hai
saarā  badan  hai  dhuup  meñ  jhulsā  huā  magar
dil  par  jo  paḌ  rahā  hai  vo  saaya  ajiib  hai
pheñke  nahīñ  haiñ  aaj  talak  reza-hā-e-dil
TuuTe  ta.alluqāt  kā  rishta  ajiib  hai
jab  tak  nazar  na  kījiye  yak  qatra  ḳhuuñ  hai  dil
lekin  jo  dekhiye  to  ye  duniyā  ajiib  hai
'aḳhtar'  ye  tere  paañv  ke  kāñTe  na.e  nahīñ
kāñToñ  se  kheltā  huā  chhālā  ajiib  hai