aaj  bhī  dasht-e-balā  meñ  nahr  par  pahrā  rahā
kitnī  sadiyoñ  baad  maiñ  aayā  magar  pyāsā  rahā
kyā  fazā-e-sub.h-e-ḳhandāñ  kyā  savād-e-shām-e-ġham
jis  taraf  dekhā  kiyā  maiñ  der  tak  hañstā  rahā
ik  sulagtā  āshiyāñ  aur  bijliyoñ  kī  anjuman
pūchhtā  kis  se  ki  mere  ghar  meñ  kyā  thā  kyā  rahā
zindagī  kyā  ek  sannāTā  thā  pichhlī  raat  kā
sham.eñ  gul  hotī  rahīñ  dil  se  dhuāñ  uThtā  rahā
qāfile  phūloñ  ke  guzre  is  taraf  se  bhī  magar
dil  kā  ik  gosha  jo  suunā  thā  bahut  suunā  rahā
terī  in  hañstī  huī  āñkhoñ  se  nisbat  thī  jise
merī  palkoñ  par  vo  aañsū  umr  bhar  Thahrā  rahā
ab  lahū  ban  kar  mirī  āñkhoñ  se  bah  jaane  ko  hai
haañ  vahī  dil  jo  harīf-e-joshish-e-dariyā  rahā
kis  ko  fursat  thī  ki  'aḳhtar'  dekhtā  merī  taraf
maiñ  jahāñ  jis  bazm  meñ  jab  tak  rahā  tanhā  rahā