guzarnā  hai  jī  se  guzar  jā.iye
liye  dīda-e-tar  kidhar  jā.iye
khule  dil  se  miltā  nahīñ  ab  koī
use  bhūlne  kis  ke  ghar  jā.iye
subuk-rau  hai  mauj-e-ġham-e-dil  abhī
abhī  vaqt  hai  paar  utar  jā.iye
ulaT  to  diyā  parda-e-shab  magar
nahīñ  sūjhtā  ab  kidhar  jā.iye
ilāj-e-ġham-e-dil  na  sahrā  na  ghar
vahī  hū  kā  aalam  jidhar  jā.iye
isī  moḌ  par  ham  hue  the  judā
mile  haiñ  to  dam  bhar  Thahar  jā.iye
kaThin  haiñ  bahut  hijr  ke  marhale
taqāzā  hai  hañs  kar  guzar  jā.iye
ab  us  dar  kī  'aḳhtar'  havā  aur  hai
liye  apne  shām-o-sahar  jā.iye