chand  uljhī  huī  sāñsoñ  kī  atā  huuñ  kyā  huuñ
maiñ  charāġh-e-tah-e-dāmān-e-sabā  huuñ  kyā  huuñ
har  nafas  hai  mirā  parvarda-e-āġhosh-e-balā
apne  nā-karda  gunāhoñ  kī  sazā  huuñ  kyā  huuñ
mujh  pe  khultā  hī  nahīñ  merā  sitam-dīda  vajūd
koī  patthar  huuñ  ki  gum-karda  sadā  huuñ  kyā  huuñ
dil  meñ  huuñ  aur  zabāñ  par  kabhī  aatā  bhī  nahīñ
maiñ  koī  bholā  huā  harf-e-duā  huuñ  kyā  huuñ
maiñ  safar  meñ  huuñ  magar  samt-e-safar  koī  nahīñ
kyā  maiñ  ḳhud  apnā  hī  naqsh-e-kaf-e-pā  huuñ  kyā  huuñ
maiñ  ne  dekhā  hī  nahīñ  jāgtī  āñkhoñ  se  kabhī
koī  uqda  huuñ  ki  ḳhud  uqda-kushā  huuñ  kyā  huuñ
pūchhtā  hai  mirā  pairāhan-e-hastī  mujh  se
maiñ  qabā  huuñ  ki  faqat  band-e-qabā  huuñ  kyā  huuñ
dil  kī  aur  merī  zabāñ  ek  hai  phir  bhī  'aḳhtar'
lafz  o  ma.anī  kī  pur-asrār  fazā  huuñ  kyā  huuñ