sair-gāh-e-duniyā  kā  hāsil-e-tamāshā  kyā
rañg-o-nik.hat-e-gul  par  apnā  thā  ijārā  kyā
khel  hai  mohabbat  meñ  jaan  o  dil  kā  saudā  kyā
dekhiye  dikhātī  hai  ab  ye  zindagī  kyā  kyā
jab  bhī  jī  umaD  aayā  ro  liye  ghaḌī  bhar  ko
āñsuoñ  kī  bārish  se  mausamoñ  kā  rishta  kyā
kab  sar-e-nazāra  thā  ham  ko  bazm-e-ālam  kā
yuuñ  bhī  dekh  kar  tum  ko  aur  dekhnā  thā  kyā
dard  be-davā  apnā  baḳht  nā-rasā  apnā
ai  nigāh-e-be-parvā  tujh  se  ham  ko  shikva  kyā
be-savāl  āñkhoñ  se  muñh  chhupā  rahe  ho  kyuuñ
merī  chashm-e-hairāñ  meñ  hai  koī  taqāzā  kyā
haal  hai  na  maazī  hai  vaqt  kā  tasalsul  hai
raat  kā  añdherā  kyā  sub.h  kā  ujālā  kyā
jo  hai  jī  meñ  kah  diije  un  ke  rū-ba-rū  'aḳhtar'
arz-e-hāl  kī  ḳhātir  DhūñDiye  bahāna  kyā