yaqīn  hai  na  gumāñ  hai  zarā  sambhal  ke  chalo
ajiib  rañg-e-jahāñ  hai  zarā  sambhal  ke  chalo
sulagte  ḳhvāboñ  kī  bastī  hai  rah-guzār-e-hayāt
yahāñ  dhuāñ  hī  dhuāñ  hai  zarā  sambhal  ke  chalo
ravish  ravish  hai  guzar-gāh-e-nik.hat-e-barbād
kalī  kalī  nigarāñ  hai  zarā  sambhal  ke  chalo
jo  zaḳhm  de  ke  ga.ī  hai  abhī  nasīm-e-sahar
sukūt-e-gul  se  ayaañ  hai  zarā  sambhal  ke  chalo
ḳhirām-e-nāz  mubārak  tumheñ  magar  ye  dil
matā-e-shīsha-garāñ  hai  zarā  sambhal  ke  chalo
surāġh-e-hashr  na  pā  jaa.eñ  dekhne  vaale
hujūm-e-dīda-varāñ  hai  zarā  sambhal  ke  chalo
yahāñ  zamīn  bhī  qadmoñ  ke  saath  chaltī  hai
ye  ālam-e-guzarāñ  hai  zarā  sambhal  ke  chalo