mauj-e-shamīm  haiñ  na  ḳhirām-e-sabā  haiñ  ham
Thahrī  huī  guloñ  ke  laboñ  par  duā  haiñ  ham
begāna  ḳhalq  se  haiñ  na  tujh  se  ḳhafā  haiñ  ham
ai  zindagī  muaaf  ki  dair-āshnā  haiñ  ham
is  raaz  ko  bhī  faash  kar  ai  chashm-e-dil-navāz
kāñTā  khaTak  rahā  hai  ye  dil  meñ  ki  kyā  haiñ  ham
yārab  tirā  kamāl-e-hunar  ham  pe  ḳhatm  hai
yā  sirf  mashq-e-nāz  kā  ik  tajraba  haiñ  ham
āḳhir  tire  sulūk  ne  jhuTlā  diyā  ise
ik  zo.am  thā  hamīñ  ki  sarāpā  vafā  haiñ  ham
kal  is  zamīñ  pe  utreñge  phūloñ  ke  qāfile
ik  paikar-e-bahār  kī  āvāz-e-pā  haiñ  ham