phirtī  hai  zindagī  janāza-ba-dosh
but  bhī  chup  haiñ  ḳhudā  bhī  hai  ḳhāmosh
koī  merī  tarah  jiye  to  sahī
zindagī  dar-gulū  ajal  bar-dosh
dīdanī  thī  ye  kā.enāt  bahut
ham  bhī  kuchh  din  rahe  ḳharāb-e-hosh
ghar  se  tauf-e-haram  ko  niklā  thā
raah  meñ  thī  dukān-e-bāda-farosh
ik  ta.alluq  qadam  ko  raah  se  hai
maiñ  na  āvāra  huuñ  na  ḳhāna-ba-dosh
ham  se  ġhāfil  nahīñ  haiñ  ahl-e-sitam
ik  zarā  thak  ke  ho  ga.e  haiñ  ḳhamosh
jī  meñ  hai  koī  aarzū  kiije
ya.anī  baaqī  hai  sar  meñ  mastī  hosh
hai  ye  duniyā  bahut  vasī.a  to  ho
maiñ  huuñ  aur  terā  halqa-e-āġhosh
dil  ko  rote  kahāñ  talak  'aḳhtar'
āḳhir-kār  ho  ga.e  ḳhāmosh