dil-e-shorīda  kī  vahshat  nahīñ  dekhī  jaatī
roz  ik  sar  pe  qayāmat  nahīñ  dekhī  jaatī
ab  un  āñkhoñ  meñ  vo  aglī  sī  nidāmat  bhī  nahīñ
ab  dil-e-zār  kī  hālat  nahīñ  dekhī  jaatī
band  kar  de  koī  maazī  kā  darīcha  mujh  par
ab  is  ā.īne  meñ  sūrat  nahīñ  dekhī  jaatī
aap  kī  ranjish-e-bejā  hī  bahut  hai  mujh  ko
dil  pe  har  taaza  musībat  nahīñ  dekhī  jaatī
tū  kahānī  hī  ke  parde  meñ  bhalī  lagtī  hai
zindagī  terī  haqīqat  nahīñ  dekhī  jaatī
lafz  us  shoḳh  kā  muñh  dekh  ke  rah  jaate  haiñ
lab-e-iz.hār  kī  hasrat  nahīñ  dekhī  jaatī
dushman-e-jāñ  hī  sahī  saath  to  ik  umr  kā  hai
dil  se  ab  dard  kī  ruḳhsat  nahīñ  dekhī  jaatī
dekhā  jaatā  hai  yahāñ  hausla-e-qata-e-safar
nafas-e-chand  kī  mohlat  nahīñ  dekhī  jaatī
dekhiye  jab  bhī  mizha  par  hai  ik  aañsū  'aḳhtar'
dīda-e-tar  kī  rifāqat  nahīñ  dekhī  jaatī