āñkhoñ  meñ  jo  ek  ḳhvāb  sā  hai
aalam  kyā  kyā  dikhā  rahā  hai
aalam  ik  intizār  kā  hai
khultā  nahīñ  intizār  kyā  hai
qatra  qatra  jo  pī  chukā  hai
dariyā  dariyā  pukārtā  hai
kyā  kah  ga.ī  zindagī  kī  aahaT
jo  hai  kisī  soch  meñ  khaḌā  hai
ai  mauj-e-nasīm-e-sub.h-gāhī
har  ġhunche  kā  dil  dhaḌak  rahā  hai
tum  aur  zarā  qarīb  aa  jaao
ḳhanjar  rag-e-jāñ  tak  aa  gayā  hai
hai  dīdanī  rañg-e-rū-e-qātil
har  zaḳhm  javāb  māñgtā  hai
ai  dasht-e-junūñ  gavāh  rahnā
kāñTe  haiñ  aur  ik  barahna-pā  hai
āsār  achchhe  nahīñ  shab-e-hijr
dil  ko  kuchh  qarār  sā  hai
lafzoñ  ko  zabān  mil  rahī  hai
shāyad  'aḳhtar'  ġhazal-sarā  hai