kabhī  zabāñ  pe  na  aayā  ki  aarzū  kyā  hai
ġharīb  dil  pe  ajab  hasratoñ  kā  saayā  hai
sabā  ne  jāgtī  āñkhoñ  ko  chuum  chuum  liyā
na  jaane  āḳhir-e-shab  intizār  kis  kā  hai
ye  kis  kī  jalvagarī  kā.enāt  hai  merī
ki  ḳhaak  ho  ke  bhī  dil  shola-e-tamannā  hai
tirī  nazar  kī  bahār-āfrīniyāñ  taslīm
magar  ye  dil  meñ  jo  kāñTā  sā  ik  khaTaktā  hai
jahān-e-fikr-o-nazar  kī  uḌā  rahī  hai  hañsī
ye  zindagī  jo  sar-e-rahguzar  tamāshā  hai
ye  dasht  vo  hai  jahāñ  rāsta  nahīñ  miltā
abhī  se  lauT  chalo  ghar  abhī  ujālā  hai
yahī  rahā  hai  bas  ik  dil  ke  ġham-gusāroñ  meñ
Thahar  Thahar  ke  jo  aañsū  palak  tak  aatā  hai
Thahar  ga.e  ye  kahāñ  aa  ke  roz  o  shab  'aḳhtar'
ki  āftāb  hai  sar  par  magar  añdherā  hai