ma.āl-e-gardish-e-lail-o-nahār  kuchh  bhī  nahīñ
hazār  naqsh  haiñ  aur  āshkār  kuchh  bhī  nahīñ
har  ek  moḌ  pe  duniyā  ko  ham  ne  dekh  liyā
sivā.e  kashmakash-e-rozgār  kuchh  bhī  nahīñ
nishān-e-rāh  mile  bhī  yahāñ  to  kaise  mile
sivā.e  ḳhāk-e-sar-e-rahguzār  kuchh  bhī  nahīñ
bahut  qarīb  rahī  hai  ye  zindagī  ham  se
bahut  aziiz  sahī  e'tibār  kuchh  bhī  nahīñ
na  ban  paḌā  ki  garebāñ  ke  chaak  sī  lete
shu.ūr  ho  ki  junūñ  iḳhtiyār  kuchh  bhī  nahīñ
khile  jo  phuul  vo  dast-e-ḳhizāñ  ne  chhīn  liye
nasīb-e-dāman-e-fasl-e-bahār  kuchh  bhī  nahīñ
zamāna  ishq  ke  māroñ  ko  maat  kyā  degā
diloñ  ke  khel  meñ  ye  jiit  haar  kuchh  bhī  nahīñ
ye  merā  shahr  hai  maiñ  kaise  maan  luuñ  'aḳhtar'
na  rasm-o-rāh  na  vo  kū-e-yār  kuchh  bhī  nahīñ