balā-e-tīra-shabī  kā  javāb  le  aa.e
bujhe  charāġh  to  ham  āftāb  le  aa.e
bikhar  ga.e  jo  kabhī  chashm-e-intizār  ke  rañg
is  anjuman  se  ham  ik  aur  ḳhvāb  le  aa.e
ham  is  zamīn  pe  mīzān-e-adl  rakhte  haiñ
kaho  zamāne  se  fard-e-hisāb  le  aa.e
har  ek  ġham  se  salāmat  guzar  gayā  hai  dil
ḳhudā  kare  ki  mohabbat  kī  taab  le  aa.e
ga.e  the  ham  bhī  in  āñkhoñ  se  māñgne  kyā  kyā
vahī  huā  ki  bas  ik  iztirāb  le  aa.e
hamārī  laġhzish-e-paiham  ko  rā.egāñ  na  samajh
ajab  nahīñ  ki  yahī  inqalāb  le  aa.e
na  laa.e  kuchh  bhī  ham  āshob-e-dahr  meñ  'aḳhtar'
bas  ek  hausla-e-iztirāb  le  aa.e