lab-e-sukūt  pe  ik  harf-e-be-navā  bhī  nahīñ
vo  raat  hai  ki  kisī  ko  sar-e-duā  bhī  nahīñ
ḳhamosh  rahiye  to  kyā  kyā  sadā.eñ  aatī  haiñ
pukāriye  to  koī  muḌ  ke  dekhtā  bhī  nahīñ
jo  dekhiye  to  jilau  meñ  haiñ  mehr-o-māh-o-nujūm
jo  sochiye  to  safar  kī  ye  ibtidā  bhī  nahīñ
qadam  hazār  jihat-āshnā  sahī  lekin
guzar  gayā  huuñ  jidhar  se  vo  rāsta  bhī  nahīñ
kisī  ke  tum  ho  kisī  kā  ḳhudā  hai  duniyā  meñ
mire  nasīb  meñ  tum  bhī  nahīñ  ḳhudā  bhī  nahīñ
ye  kaisā  ḳhvāb  hai  pichhle  pahar  ke  sannāTo
bikhar  gayā  hai  aur  āñkhoñ  se  chhūTtā  bhī  nahīñ
is  izhdihām  meñ  kyā  naam  kyā  nishāñ  'aḳhtar'
milā  vo  hañs  ke  magar  mujh  se  āshnā  bhī  nahīñ